10. Jahan chah waha rah
Mein Se Hum Tak, Along Her Books
Jahan cha waha rah
Jab 10 saal ki thi woh ek nanhi si Gudiya,
dekha tha ek khwab bahut bada aur badhiya.
Khwab tha bas apne naam ke aage ek aur naam lagana,
‘JD‘ se “Dr. JD“ ban
jana,
Thi who har apne us guru ki abhari,
Jinhone sikhaya use chalana zindagi ki gadi
Khwab dikhya tha unhone har padaw pe,
payo ge use lagan,
mehnat aur lagav se.
Har kadam pe hosla dost aur duniya badhati thi,
par asli himmat toh apne andhar se hi
aati thi.
Zindagi hamesha waise nahi chalti jaise hum chahate hai,
rah me kabhi pathar toh kabhi pahad aa
jaatein hai.
Jab ek ghar se apne ghar jana hota hai,
ladkiyo ki zindagi me
toffan sa udh jata hai.
Sab chod ke chal padi who bhi zindagi ki us rah par,
peeche chodne pade the jab sapne aur rehna tha ek Parivar
ban kar.
Par kuch saath se, kuch baat se, sapno ki dor ko kabhi na chodda,
shaadi ke baad bhi
padh kar usne apne sapno ka bheej phir se boya.
Har zimedari ke saath saath usne P.hD. ki degree bhi apne
naam kar dali,
aise hi usne apni
Zindagi, apne sapne ko sach kar, sawar dali.
Poora hua jo sapna uska, uski majbot sooch ka parinam tha,
poore ghar mein sasbe uncha aaj “Dr. JD” ka naam tha…
This post is a part of Blogchatter
Half Marathon’ .
Comments
Post a Comment